Socialize

AATISHBAAZI Song LYRICS – JUBIN NAUTIYAL

AATISHBAAZI Song LYRICS – JUBIN NAUTIYAL


Song : Aatishbaazi 

Lyrics : Rocky Khanna

Singer: Jubin Nautiyal

Composer: Rocky Khanna, Jubin Nautiyal


Aatishbaazi Lyrics by Jubin Nautiyal is latest Hindi song with music given by him and Rocky Khanna. Aatishbaazi song lyrics are written by Rocky Khanna.


Aatishbaazi Lyrics


Mujhko na khabar thi is tarah

Teri yaadein yoon tadpayengi

Mujhko satayein jo yaadein woh

Tere hisse bhi to aayengi


Bechainiyon mein kyun lamha saja hai

Ke dil nahi sambhal raha


Yeh seene ke andar

Hai kaisa samandar

Kyun mujhko dubayein

Woh yaadein teri


Jo tu rubaruo hai

To milta sukoon hai

Yeh aatishbaazi hai teri meri


Mujhse yeh dil mera keh raha

Tujhse hain shikayatein badi

Kyun tere jaane ke baad bhi

Teri yaadein jaati hi nahi


Tera asar hai

Yeh tera nasha hai

Ke chain mera kho raha


Yeh seene ke andar

Hai kaisa samandar

Kyun mujhko dubayein

Woh yaadein teri


Jo tu rubaruo hai

To milta sukoon hai

Yeh aatishbaazi hai teri meri


Yeh dil ko pata hai

Jo dil chahta hai

Woh ehsaas ki tu zarurat meri

Tu hi aarzu hai

Tu mera junun hai

Yeh aatishbaazi hai teri meri
Post a Comment

0 Comments